CTR, CPC aur ROAS kya hain? Facebook Ads mein inka asar aur behtareen istemal
Agar aap Facebook Ads chala rahe hain to teen metrics sabse zyada important hain: CTR (Click Through Rate), CPC (Cost Per Click), aur ROAS (Return on Ad Spend). CTR batata hai ke kitne logon ne ad dekh kar uspe click kiya, aur jitna zyada CTR hoga, utni hi behtar performance aur kam cost hogi. CPC dikhata hai ke har click ka kharcha kya hai – kam CPC ka matlab hai aap kam paisay mein zyada traffic le rahe hain. ROAS batata hai ke aap ne ad mein jitna paisa lagaya, uske muqable mein kitna revenue kamaaya; agar ROAS 1x se kam hai to nuksan, aur 3x ya 4x ROAS ka matlab hai zabardast munafa. In teenon metrics ka behtareen istemal hi aapke campaign ko successful banata hai. Pakistan aur USA dono markets mein inka asar hota hai, bas farq sirf strategy ka hota hai – Pakistan mein low-budget aur engaging ads kaam karte hain, jabke USA mein high-trust aur conversion-based ads. Agar aap chahte hain ke aapka har ad paisa kamaye, to in metrics ko samajhna aur track karna aaj hi shuru karein. Facebook Ads mein successful hone ke liye andheray mein teer chalana band karein aur smart marketer ki tarah har click aur har paisay ka hisaab rakhein. Aur agar madad chahiye to WhatsApp karein 03006810331 par – ya comment karein: “Mujhe Facebook Ads mein madad chahiye.”
Comments
Post a Comment